Shayari
hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
aap ne jis ko farishte kaa diyaa thaa darja
us ki insaanon si fitrat hai to hairat kyaa hai
آپ نے جس کو فرشتے کا دیا تھا درجہ
اس کی انسانوں سی فطرت ہے تو حیرت کیا ہے
आप ने जिस को फ़रिश्ते का दिया था दर्जा
उस की इंसानों सी फ़ितरत है तो हैरत क्या है

hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
umidon se karo aazaad aur phir
mohabbat ki sanam parvaaz dekho
jo haqiqat se khauf khaane lage
khvaab aise main dekhtaa hi nahin
jo auron ko uDte hue dekhtaa ho
vo pinjre mein kaise sukun se rahegaa
mire qalam ki siyaahi mein 'ishq hai teraa
miraa ye naam ye shohrat tiri badaulat hai
naache hai mohabbat ki ye sur taal pe khud hi
dil ko ye hunar yaar sikhaayaa nahin jaataa
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
idhar vo sahraa mein khaak dhuntaa udhar vo dariyaa kinaare gum-sum
ajiib hote hain ye ta'alluq musaafiron ke musaafiron se
ai naqsh-gar yaqin kar achchhaa nahin banaa
laa phir se kaaenaat kaa naqsha banaaun main
pathraai aankhon mein dekho kyaa kyaa rang dikhaataa aansu
Thahar gayaa to ik qatra saa bah niklaa to dariyaa aansu
kidhar Dubo ke kahaan par ubhaartaa hai tu
ye kaisaa rang hai dariyaa tiri ravaani kaa
hamein ranjish nahin dariyaa se koi
salaamat gar rahe sahraa hamaaraa