Shayari
hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
naache hai mohabbat ki ye sur taal pe khud hi
dil ko ye hunar yaar sikhaayaa nahin jaataa
ناچے ہے محبت کی یہ سر تال پہ خود ہی
دل کو یہ ہنر یار سکھایا نہیں جاتا
नाचे है मोहब्बत की ये सुर ताल पे ख़ुद ही
दिल को ये हुनर यार सिखाया नहीं जाता

hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe
umidon se karo aazaad aur phir
mohabbat ki sanam parvaaz dekho
jo haqiqat se khauf khaane lage
khvaab aise main dekhtaa hi nahin
aap ne jis ko farishte kaa diyaa thaa darja
us ki insaanon si fitrat hai to hairat kyaa hai
jo auron ko uDte hue dekhtaa ho
vo pinjre mein kaise sukun se rahegaa
mire qalam ki siyaahi mein 'ishq hai teraa
miraa ye naam ye shohrat tiri badaulat hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ishq mein tahzib ke hain aur hi kuchh falsafe
tujh se ho kar ham khafaa khud se khafaa rahne lage
dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho