Shayari
rah gai hai kuchh kami to kyaa shikaayat hai 'fahim'
is jahaan mein sab adhure hain mukammal kaun hai
na baat dil ki sunun main na dil sune meri
ye sard jang hai apne hi ik mushir ke saath
نہ بات دل کی سنوں میں نہ دل سنے میری
یہ سرد جنگ ہے اپنے ہی اک مشیر کے ساتھ
न बात दिल की सुनूँ मैं न दिल सुने मेरी
ये सर्द जंग है अपने ही इक मुशीर के साथ

rah gai hai kuchh kami to kyaa shikaayat hai 'fahim'
is jahaan mein sab adhure hain mukammal kaun hai
band kamre mein tiraa dard na bujh jaae kahin
khiDkiyaan khol ki ye aag havaa chaahti hai
milan ke baa'd aati hai judaai
narak bhi sovarg se kitnaa nikaT hai
shaam khaamosh hai peDon pe ujaalaa kam hai
lauT aae hain sabhi ek parinda kam hai
teri yaadein ho gaiin jaise muqaddas aayatein
chain aataa hi nahin dil ko tilaavat ke baghair
vaaqif kahaan zamaana hamaari uDaan se
vo aur the jo haar gae aasmaan se
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
afsaana mohabbat kaa puuraa ho to kaise ho
kuchh hai dil-e-qaatil tak kuchh hai dil-e-bismil tak
sab se pahle dil ke khaali-pan ko bharnaa
paisa saari umr kamaayaa jaa saktaa hai
annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
ronaa hai ye ki aap bhi hanste the varna yaan
taan-e-raqib dil pe kuchh aisaa giraan na thaa