Shayari
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke sivaa
raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke sivaa
اور بھی دکھ ہیں زمانے میں محبت کے سوا
راحتیں اور بھی ہیں وصل کی راحت کے سوا
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kyaa guzri
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzri hai
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
isi liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nai nai hai naa
itnaa bhi naa-umid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahin ki shaam-e-alam ki sahar na ho
dariyaa pe Tikri se pare khaanqaah thi
tab tere mere pyaar ki duniyaa gavaah thi