Shayari
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
jiine bhi nahin dete marne bhi nahin dete
kyaa tum ne mohabbat ki har rasm uThaa Daali
جینے بھی نہیں دیتے مرنے بھی نہیں دیتے
کیا تم نے محبت کی ہر رسم اٹھا ڈالی
जीने भी नहीं देते मरने भी नहीं देते
क्या तुम ने मोहब्बत की हर रस्म उठा डाली

na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham hain un se vo ghair se maayus
kyaa mohabbat kisi ko raas nahin
ishq se baaz aate ham divaane kyaa
thi samajh ki baat ham samjhe nahin
ye qadam qadam balaaein ye savaad-e-ku-e-jaanaan
vo yahin se lauT jaae jise zindagi ho piyaari
aablon kaa shikva kyaa Thokaron kaa gham kaisaa
aadmi mohabbat mein sab ko bhuul jaataa hai