Shayari
aql thak kar lauT aai jaada-e-aalaam se
ab junun aaghaaz farmaaegaa is anjaam se
ye qadam qadam balaaein ye savaad-e-ku-e-jaanaan
vo yahin se lauT jaae jise zindagi ho piyaari
یہ قدم قدم بلائیں یہ سواد کوئے جاناں
وہ یہیں سے لوٹ جائے جسے زندگی ہو پیاری
ये क़दम क़दम बलाएँ ये सवाद-ए-कू-ए-जानाँ
वो यहीं से लौट जाए जिसे ज़िंदगी हो पियारी

aql thak kar lauT aai jaada-e-aalaam se
ab junun aaghaaz farmaaegaa is anjaam se
thi siyaahiyon kaa maskan miri zindagi ki vaadi
tire husn ke tasadduq mujhe raushni dikhaa di
chand alfaaz ke moti hain mire daaman mein
hai magar teri mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
baaqi hi kyaa rahaa hai tujhe maangne ke baad
bas ik duaa mein chhuT gae har duaa se ham
aablon kaa shikva kyaa Thokaron kaa gham kaisaa
aadmi mohabbat mein sab ko bhuul jaataa hai
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaan hai magar
us mein shola na sharaara na dhuaan hotaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vasvase Daste rahe ishq mein saanpon ki tarah
be-asaa raah-e-khatarnaak pe din guzre hain
tum bahr-e-mohabbat ke kinaare pe khaDe the
tum ne miri aankhon mein samundar nahin dekhaa
ham ko sambhaaltaa koi kyaa raah-e-ishq mein
khaa khaa ke Thokarein hamin aakhir sambhal gae
dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke sivaa
sab fasaane hain haqiqat mein haqiqat ke sivaa