Shayari
yuun na qaatil ko jab yaqin aayaa
ham ne dil khol kar dikhaai choT
maut kaa intizaar baaqi hai
aap kaa intizaar thaa na rahaa
موت کا انتظار باقی ہے
آپ کا انتظار تھا نہ رہا
मौत का इंतिज़ार बाक़ी है
आप का इंतिज़ार था न रहा

yuun na qaatil ko jab yaqin aayaa
ham ne dil khol kar dikhaai choT
vahm-o-qayaas ke sivaa haasil-e-hosh kuchh nahin
fahm ki ibtidaa hai vahm aql ki had qayaas hai
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'faani'
zindagi naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
har musibat kaa diyaa ek tabassum se javaab
is tarah gardish-e-dauraan ko rulaayaa main ne
maujon ki siyaasat se maayus na ho 'faani'
girdaab ki har tah mein saahil nazar aataa hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
tum aae ho na shab-e-intizaar guzri hai
talaash mein hai sahar baar baar guzri hai
ye jo mohlat jise kahe hain umr
dekho to intizaar saa hai kuchh