Shayari
hai meri aankhon mein aks-e-navishta-e-divaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaan le lo
ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughaat
le tujh ko mubaarak ho sambhaal apni ye duniyaa
اب مجھ سے سنبھلتی نہیں یہ درد کی سوغات
لے تجھ کو مبارک ہو سنبھال اپنی یہ دنیا
अब मुझ से सँभलती नहीं ये दर्द की सौग़ात
ले तुझ को मुबारक हो सँभाल अपनी ये दुनिया

hai meri aankhon mein aks-e-navishta-e-divaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaan le lo
tujhe khabar hi nahin hai ye qissa-e-kotaah
jahaan pe but na gire kab vahaan haram utraa
mataa-e-dard maaal-e-hayaat hai shaayad
dil-e-shikasta miri kaaenaat hai shaayad
hausla sab ne baDhaayaa hai mire munsif kaa
tum bhi inaam koi meri sazaa par likh do
mire sajde kabhi rusvaa na honge
tumhaaraa sang-e-dar ho jaaungaa main
ab us maqaam pe hai mausamon kaa sard mizaaj
ki dil sulagne lage aur dimaagh jalne lage
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
koi sadi miri muntazir hai kisi sadi se guzar rahaa huun
main ek manzar mein ji uThungaa main ek manzar mein mar rahaa huun
us kaa chehraa udaas hai 'maajid'
aaine par nazar gai hogi
kaun saa dard utar aayaa hai tahriron mein
saare alfaaz janaaze ki tarah lagte hain