Shayari
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ishq akhbaar kab kaa band huaa
dil miraa aakhiri shumaara hai
عشق اخبار کب کا بند ہوا
دل مرا آخری شمارہ ہے
इश्क़ अख़बार कब का बंद हुआ
दिल मिरा आख़िरी शुमारा है

chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
ilaaj apnaa karaate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho naa mohabbat kyuun nahin karte
main ronaa chaahtaa huun khuub ronaa chaahtaa huun main
phir us ke baad gahri niind sonaa chaahtaa huun main
vo aql-mand kabhi josh mein nahin aataa
gale to lagtaa hai aaghosh mein nahin aataa
har gali kuche mein rone ki sadaa meri hai
shahr mein jo bhi huaa hai vo khataa meri hai
koi dariyaa ki taraf jaane ko tayyaar nahin
haath sab ke hain magar koi 'alam-daar nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yaa tere alaava bhi kisi shai ki talab hai
yaa apni mohabbat pe bharosaa nahin ham ko
havaa par hai ye buniyaad-e-musaafir khaana-e-hasti
na Thahraa hai koi yaan ai dil-e-mahzun na Thahregaa
hichkiyaan aati hain kyuun ai dil-e-naashaad mujhe
shaayad us shokh ne bhule se kiyaa yaad mujhe
main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzu
divaana kar diyaa hai gham-e-rozgaar ne