Shayari
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
havaa par hai ye buniyaad-e-musaafir khaana-e-hasti
na Thahraa hai koi yaan ai dil-e-mahzun na Thahregaa
ہوا پر ہے یہ بنیاد مسافر خانۂ ہستی
نہ ٹھہرا ہے کوئی یاں اے دل محزوں نہ ٹھہرے گا
हवा पर है ये बुनियाद-ए-मुसाफ़िर ख़ाना-ए-हस्ती
न ठहरा है कोई याँ ऐ दिल-ए-महज़ूँ न ठहरेगा

tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
puchhne vaalon ko kyaa kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islaam haqiqat mein hain yaksaan ham ko
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
shamim-e-pairahan-e-yaar kyaa nisaar karein
tujhi ko dil se lagaa lein tujhi ko pyaar karein
manzilein ishq ki aasaan huiin chalte chalte
aur chamkaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa aakhir-e-shab
mohabbat ho to jaati hai mohabbat ki nahin jaati
ye shoala khud bhaDak uThtaa hai bhaDkaayaa nahin jaataa