Shayari
sitaaron se shab-e-gham kaa to daaman jagmagaa uThThaa
magar aansu bahaa kar hijr ke maaron ne kyaa paayaa
miri zindagi kaa mahvar yahi soz-o-saaz-e-hasti
kabhi jazb-e-vaalhaana kabhi zabt-e-aarifaana
مری زندگی کا محور یہی سوز و ساز ہستی
کبھی جذب والہانہ کبھی ضبط عارفانہ
मिरी ज़िंदगी का महवर यही सोज़-ओ-साज़-ए-हस्ती
कभी जज़्ब-ए-वालहाना कभी ज़ब्त-ए-आरिफ़ाना

sitaaron se shab-e-gham kaa to daaman jagmagaa uThThaa
magar aansu bahaa kar hijr ke maaron ne kyaa paayaa
gham-e-ishq hi ne kaaTi gham-e-ishq ki musibat
isi mauj ne Duboyaa isi mauj ne ubhaaraa
mire naakhudaa na ghabraa ye nazar hai apni apni
tire saamne hai tufaan mire saamne kinaaraa
yaqin mujhe bhi hai vo aaeinge zarur magar
vafaa karegi kahaan tak ki zindagi hi to hai
nadim taarikh-e-fath-e-daanish bas itnaa likh kar tamaam kar de
ki shaatiraan-e-jahaan ne aakhir khud apni chaalon se maat khaai
allaah ke bandon ki hai duniyaa hi niraali
kaanTe koi botaa hai to ugte hain gulistaan
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai