Shayari
abas naadaaniyon par aap apni naaz karte hain
abhi dekhi kahaan hain aap ne naadaaniyaan meri
na tum aae na chain aayaa na maut aai shab-e-vaada
dil-e-muztar thaa main thaa aur thiin be-taabiyaan meri
نہ تم آئے نہ چین آیا نہ موت آئی شب وعدہ
دل مضطر تھا میں تھا اور تھیں بے تابیاں میری
न तुम आए न चैन आया न मौत आई शब-ए-व'अदा
दिल-ए-मुज़्तर था मैं था और थीं बे-ताबियाँ मेरी

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin