Shayari
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
aaj bahut udaas huun
yuun koi khaas gham nahin
آج بہت اداس ہوں
یوں کوئی خاص غم نہیں
आज बहुत उदास हूँ
यूँ कोई ख़ास ग़म नहीं

tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
samajhnaa kam na ham ahl-e-zamin ko
utarte hain sahife aasmaan se
tire pahlu mein kyuun hotaa hai mahsus
ki tujh se duur hotaa jaa rahaa huun
ek muddat se tiri yaad bhi aai na hamein
aur ham bhuul gae hon tujhe aisaa bhi nahin
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi ham duur se pahchaan lete hain
sunte hain ishq naam ke guzre hain ik buzurg
ham log bhi faqir usi silsile ke hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa