Shayari
ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
aansuon se koi aavaaz ko nisbat na sahi
bhigti jaae to kuchh aur nikharti jaae
آنسوؤں سے کوئی آواز کو نسبت نہ سہی
بھیگتی جائے تو کچھ اور نکھرتی جائے
आँसुओं से कोई आवाज़ को निस्बत न सही
भीगती जाए तो कुछ और निखरती जाए

ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar khud safar kaa haasil hai
ye chaar din ki rifaaqat bhi kam nahin ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
nikhar gae hain pasine mein bhiig kar aariz
gulon ne aur bhi shabnam se taazgi paai
manzilein raah mein thiin naqsh-e-qadam ki surat
ham ne muD kar bhi na dekhaa kisi manzil ki taraf
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
mujh ko tanhaaiyon ne maaraa hai
bhiiD dekho mire janaaze ki
nashaat-angez naghme kyaa sunaaein
tabiat is taraf maail nahin hai
jaan ghul chuki hai gham mein ik tan hai vo bhi mohmal
maani nahin hain bilkul mujh mein agar bayaan huun