Shayari
kyaa baat hai kyuun shahr mein ab ji nahin lagtaa
haalaanki yahaan apne paraae bhi vahi hain
dil kaa har zakhm tiri yaad kaa ik phuul bane
mere pairaahan-e-jaan se tiri khushbu aae
دل کا ہر زخم تری یاد کا اک پھول بنے
میرے پیراہن جاں سے تری خوشبو آئے
दिल का हर ज़ख़्म तिरी याद का इक फूल बने
मेरे पैराहन-ए-जाँ से तिरी ख़ुशबू आए

kyaa baat hai kyuun shahr mein ab ji nahin lagtaa
haalaanki yahaan apne paraae bhi vahi hain
shaayad abhi kami si masihaaiyon mein hai
jo dard hai vo ruuh ki gahraaiyon mein hai
saudaa hai zamiron kaa har gaam tijaarat hai
chup huun to qayaamat hai bolun to baghaavat hai
kin shahidon ke lahu ke ye farozaan hain charaagh
raushni si jo hai zindaan ke har ik rauzan mein
ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
'gulnaar' maslahat ki zabaan mein na baat kar
vo zahr pi ke dekh jo sachchaaiyon mein hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
itni saari yaadon ke hote bhi jab dil mein
viraani hoti hai to hairaani hoti hai
sazaa-e-maut pe fariyaad se to behtar hai
gale lagaa ke kahun daar ko mubaarak baad
ujli ujli khvaahishon par niind ki chaadar na Daal
yaad ke rauzan se kuchh taaza havaa bhi aaegi
ujaaD ho bhi chukaa miraa dil magar abhi daaghdaar bhi hai
yahi khizaan thi bahaar-dushman jo yaadgaar-e-bahaar bhi hai