Shayari
is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
aadmi kaa aadmi har haal mein hamdard ho
ik tavajjoh chaahiye insaan ko insaan ki taraf
آدمی کا آدمی ہر حال میں ہمدرد ہو
اک توجہ چاہئے انساں کو انساں کی طرف
आदमी का आदमी हर हाल में हमदर्द हो
इक तवज्जोह चाहिए इंसाँ को इंसाँ की तरफ़

is ko samjho na khatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaaeri se gharaz
jo divaanon ne paimaaish ki hai maidaan-e-qayaamat ki
faqat do gaz zamin Thahri vo mere dasht-e-vahshat ki
o aankh badal ke jaane vaale
kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa
pari thi koi chhalaavaa thi yaa javaani thi
kahaan ye ho gai champat jhalak dikhaa ke mujhe
kabhi masjid mein jo vaaiz kaa bayaan suntaa huun
yaad aati hai mujhe pir-e-kharaabaat ki baat
bahut duur to kuchh nahin ghar miraa
chale aao ik din Tahalte hue
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa khabar thi is qadar pur-kaif naghme hain nihaan
zindagi ko ek saaz-e-be-sadaa samjhaa thaa main
zakhm-e-tanhaai mein khushbu-e-hinaa kis ki thi
saaya divaar pe meraa thaa sadaa kis ki thi