Shayari
shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
kyaa khabar thi is qadar pur-kaif naghme hain nihaan
zindagi ko ek saaz-e-be-sadaa samjhaa thaa main
کیا خبر تھی اس قدر پر کیف نغمے ہیں نہاں
زندگی کو ایک ساز بے صدا سمجھا تھا میں
क्या ख़बर थी इस क़दर पुर-कैफ़ नग़्मे हैं निहाँ
ज़िंदगी को एक साज़-ए-बे-सदा समझा था मैं

shaayad hi raas aae mujhe aish-e-marg bhi
'raahi' gham-e-hayaat kaa maaraa huaa huun main
allaah tere haath hai khuddaariyon ki laaj
daanista haadsaat se Takraa gayaa huun main
be-khudi mein shaan-e-khuddaari bhi hai
khvaab mein ehsaas-e-bedaari bhi hai
dil dhaDaktaa hai sitaaron kaa yahaan
uf ye duniyaa kis qadar taarik hai
na samjhaa koi asraar-e-mohabbat
jo samjhaa kuchh dil-e-naadaan samjhaa
dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe
dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki vo aane ko hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sadaaein jism ki divaar paar karti hain
koi pukaar rahaa hai magar kahaan se mujhe
band rahte hain jo alfaaz kitaabon mein sadaa
gardish-e-vaqt miTaa deti hai pahchaan un ki
ai shaaer! teraa dard baDaa ai shaaer! teri soch baDi
ai shaaer! tere siine mein is jaisaa laakh bahe dariyaa