Shayari
dard ko rahne bhi de dil mein davaa ho jaaegi
maut aaegi to ai hamdam shifaa ho jaaegi
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
چرچا ہمارا عشق نے کیوں جا بہ جا کیا
دل اس کو دے دیا تو بھلا کیا برا کیا
चर्चा हमारा इश्क़ ने क्यूँ जा-ब-जा किया
दिल उस को दे दिया तो भला क्या बुरा किया

dard ko rahne bhi de dil mein davaa ho jaaegi
maut aaegi to ai hamdam shifaa ho jaaegi
duniyaa bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzaarne aur kuchh guzar gae
rukhsaar par hai rang-e-hayaa kaa farogh aaj
bose kaa naam main ne liyaa vo nikhar gae
vo sar hi kyaa ki jis mein tumhaaraa na ho khayaal
vo dil hi kyaa ki jis mein tumhaaraa guzar na ho
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hiile se bujhegi havas-e-jaam-e-sharaab
bhalaa tu aur ghar aae mire kyun-kar yaqin kar luun
takhayyul kyuun na ho meraa tiri aavaaz-e-paa kyuun ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue