Shayari
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
dard ko rahne bhi de dil mein davaa ho jaaegi
maut aaegi to ai hamdam shifaa ho jaaegi
درد کو رہنے بھی دے دل میں دوا ہو جائے گی
موت آئے گی تو اے ہمدم شفا ہو جائے گی
दर्द को रहने भी दे दिल में दवा हो जाएगी
मौत आएगी तो ऐ हमदम शिफ़ा हो जाएगी

charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
duniyaa bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzaarne aur kuchh guzar gae
rukhsaar par hai rang-e-hayaa kaa farogh aaj
bose kaa naam main ne liyaa vo nikhar gae
vo sar hi kyaa ki jis mein tumhaaraa na ho khayaal
vo dil hi kyaa ki jis mein tumhaaraa guzar na ho
mai na ho bu hi sahi kuchh to ho rindon ke liye
isi hiile se bujhegi havas-e-jaam-e-sharaab
bhalaa tu aur ghar aae mire kyun-kar yaqin kar luun
takhayyul kyuun na ho meraa tiri aavaaz-e-paa kyuun ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
musalsal haadson se bas mujhe itni shikaayat hai
ki ye aansu bahaane ki bhi to mohlat nahin dete
main us ko aansuon se likh rahaa huun
ki mere baa'd koi paDh na paae
abr-e-bahaar ab bhi jachtaa nahin nazar mein
kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein