Shayari
anaa anaa ke muqaabil hai raah kaise khule
taalluqaat mein haail hai baat ki divaar
shab-e-daraaz kaa hai qissa mukhtasar 'kaifi'
hui sahar ke ujaalon mein gum charaagh ki lau
شب دراز کا ہے قصہ مختصر کیفیؔ
ہوئی سحر کے اجالوں میں گم چراغ کی لو
शब-ए-दराज़ का है क़िस्सा मुख़्तसर 'कैफ़ी'
हुई सहर के उजालों में गुम चराग़ की लौ

anaa anaa ke muqaabil hai raah kaise khule
taalluqaat mein haail hai baat ki divaar
bikhar ke ret hue hain vo khvaab dekhe hain
miri nigaah ne kitne saraab dekhe hain
koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein
jo mausam aayaa hai us ke itaab dekhe hain
sab nazar aate hain chehre gard gard
kyaa hue be-aab aaine tamaam
apni jaanib nahin ab lauTnaa mumkin meraa
Dhal gayaa huun main saraapaa tire aaine mein
muddatein guzrin mulaaqaat hui thi tum se
phir koi aur na aayaa nazar aaine mein
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ek khushbu si ubharti hai nafas se mere
ho na ho aaj koi aan basaa hai mujh mein
tujh se kyaa subh talak saath nibhegaa ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon kaa guzarnaa hai yahi
an-kahi an-suni si kuchh baatein
suune din aur ye sunsaan raatein