Shayari
kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
main ek baab thaa afsaana-e-vafaa kaa magar
tumhaari bazm se uTThaa to ik kitaab banaa
میں ایک باب تھا افسانۂ وفا کا مگر
تمہاری بزم سے اٹھا تو اک کتاب بنا
मैं एक बाब था अफ़साना-ए-वफ़ा का मगर
तुम्हारी बज़्म से उट्ठा तो इक किताब बना

kam nahin ai dil-e-betaab mataa-e-ummid
dast-e-mai-khvaar mein khaali hi sahi jaam to hai
kuchh usulon kaa nasha thaa kuchh muqaddas khvaab the
har zamaane mein shahaadat ke yahi asbaab the
gham se bikhraa na paaemaal huaa
main to gham se hi be-misaal huaa
jo bhi kahnaa hai kaho saaf shikaayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinaayaat se ji Dartaa hai
gard-e-shohrat ko bhi daaman se lipaTne na diyaa
koi ehsaan zamaane kaa uThaayaa hi nahin
'iqbaal' ki navaa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon kaa taaj hai
maujud mere dil mein jo zakhmon ke daagh hain
vo ek bevafaa ke sitam ke charaagh hain
jaane kyaa soch ke ham tujh se vafaa karte hain
qarz hai pichhle janm kaa so adaa karte hain
dil-e-muztar vafaa ke baab mein ye jald-baazi kyaa
zaraa ruk jaaein aur dekhein natija kyaa nikaltaa hai
tufaan-e-gham ki tund havaaon ke baavajud
ik sham-e-aarzu hai jo ab tak bujhi nahin
kabhi to un ko hamaaraa khayaal aaegaa
ham is umiid pe tark-e-vafaa nahin karte
ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi phirtaa hai sar-e-shahr-e-vafaa aavaara