Shayari
hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
laakh miThe hon tire shahr ke chashme lekin
ham tire shahr ko khush-aab nahin kah sakte
لاکھ میٹھے ہوں ترے شہر کے چشمے لیکن
ہم ترے شہر کو خوش آب نہیں کہہ سکتے
लाख मीठे हों तिरे शहर के चश्मे लेकिन
हम तिरे शहर को ख़ुश-आब नहीं कह सकते

hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoi aankhein
sunaa huaa thaa zamin nam ho to achchhi hoti hai kaasht-kaari
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham
sitaare dekhne vaale hamein bataate hain
hamaare honT tumhaari jabin ko tarseinge
ye saath gaanv mein ek chhoTaa saa kaam hai bas
miri udaasi udaas mat ho main aa rahaa huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
barson mein bhi chhu jaae kisi ko to ghanimat
khushbu-e-vafaa yaaro baDi sust-qadam hai
dikhaai dene lagi thi khushbu
main phuul aankhon pe mal rahaa thaa
khushi se kaanp rahi thiin ye ungliyaan itni
delete ho gayaa ik shakhs save karne mein
chand khushiyon ko baham karne mein
aadmi kitnaa bikhar jaataa hai