Shayari
aap aae hain haal puchhaa hai
ham ne aise bhi khvaab dekhe hain
barson mein bhi chhu jaae kisi ko to ghanimat
khushbu-e-vafaa yaaro baDi sust-qadam hai
برسوں میں بھی چھو جائے کسی کو تو غنیمت
خوشبوئے وفا یارو بڑی سست قدم ہے
बरसों में भी छू जाए किसी को तो ग़नीमत
ख़ुशबू-ए-वफ़ा यारो बड़ी सुस्त-क़दम है

aap aae hain haal puchhaa hai
ham ne aise bhi khvaab dekhe hain
main us ke aib us ko bataataa bhi kis tarah
vo shakhs aaj tak mujhe tanhaa nahin milaa
raah-rau bach ke chal darakhton se
dhuup dushman nahin hai saae hain
chaDhte suraj ki mudaaraat se pahle 'ejaaz'
soch lo kitne charaagh us ne bujhaae honge
ai sang-e-aastaan mire sajdon ki laaj rakh
aayaa huun e'tiraaf-e-shikast-e-khudi liye
darbaanon tak ke chehre raunat se maskh hain
dast-e-talab liye hue phir bhi khaDe hain log
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham apne zakhmon pe rakh lein namak zaruri hai
dayaar-e-ishq mein un ki mahak zaruri hai
kyaa taajjub hai jo yaaron ne rifaaqat chhoDi
baiThtaa kaun hai girti hui divaar ke paas
har qadam pe naakaami har qadam pe mahrumi
ghaaliban koi dushman doston mein shaamil hai
yaar kyaa zindagi hai suraj ki
subh se shaam tak jalaa karnaa
itnaa bedaariyon se kaam na lo
dosto khvaab bhi zaruri hai