Shayari
diida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
vo to dard kaa baani Thahraa vo kyaa dard baTaaegaa
aan ke is bimaar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke naam thaa teraa jab bhi dard shadid huaa
آن کے اس بیمار کو دیکھے تجھ کو بھی توفیق ہوئی
لب پر اس کے نام تھا تیرا جب بھی درد شدید ہوا
आन के इस बीमार को देखे तुझ को भी तौफ़ीक़ हुई
लब पर उस के नाम था तेरा जब भी दर्द शदीद हुआ

diida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki
vo to dard kaa baani Thahraa vo kyaa dard baTaaegaa
sun to liyaa kisi naar ki khaatir kaaTaa koh nikaali nahr
ek zaraa se qisse ko ab dete kyuun ho tuul miyaan
ham kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di
saikDon dar the miri jaan tire dar se pahle
kab lauTaa hai bahtaa paani bichhDaa saajan ruThaa dost
ham ne us ko apnaa jaanaa jab tak haath mein daamaan thaa
vo raatein chaand ke saath gaiin vo baatein chaand ke saath gaiin
ab sukh ke sapne kyaa dekhein jab dukh kaa suraj sar par ho
haq achchhaa par us ke liye koi aur mare to aur achchhaa
tum bhi koi mansur ho jo suuli pe chaDho khaamosh raho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khaanaa khulne kaa hi elaan agar farmaa dein
ham ye samjheinge ki taqrir-e-sadaarat bakhshi
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
khud apni zaat ki bechaargi ghanimat hai
qarib se use dekho to vo bhi tanhaa hai
jo duur se nazar aataa hai anjuman yaaro