Shayari
aakhiri umr tak rahegi yaad
raat main saath jis ke bhigaa thaa
jis kaa Dar thaa vahi huaa yaaro
vo faqat ham se hi khafaa niklaa
جس کا ڈر تھا وہی ہوا یارو
وہ فقط ہم سے ہی خفا نکلا
जिस का डर था वही हुआ यारो
वो फ़क़त हम से ही ख़फ़ा निकला

aakhiri umr tak rahegi yaad
raat main saath jis ke bhigaa thaa
aankhein maltaa rotaa chaand
dekho phir se niklaa chaand
baDi mushkil se bahlaayaa thaa khud ko
achaanak yaad teri aa gai phir
ab kisi kaam ke nahin ye rahe
dil vafaa ishq aur tanhaai
raaz-daan hote hain vo ghar aksar
jin gharon mein dhuaan nahin hotaa
abhi to mausam-e-khizaan hai ye
khileinge phuul bhi bahaar ke saath
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
na dastakein na sadaa kaun dar pe aayaa hai
faqir-e-shahr hai yaa shahryaar dekhiyegaa
kitne yaar hain phir bhi 'munir' is aabaadi mein akelaa hai
apne hi gham ke nashshe se apnaa ji bahlaataa hai
baat aati hai doston ki jab
mujh ko dushman 'aziz lagte hain
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
ye main ne kab kahaa thaa mujhe pyaar hi karo
lekin ye chaahne mein koi harj to nahin