Shayari
ajiib lutf kuchh aapas ki chheD-chhaaD mein hai
kahaan milaap mein vo baat jo bigaaD mein hai
yaad kyaa aataa hai vo meraa lage jaanaa aur aah
pichhe haT kar us kaa ye kahnaa koi aa jaaegaa
یاد کیا آتا ہے وہ میرا لگے جانا اور آہ
پیچھے ہٹ کر اس کا یہ کہنا کوئی آ جائے گا
याद क्या आता है वो मेरा लगे जाना और आह
पीछे हट कर उस का ये कहना कोई आ जाएगा

ajiib lutf kuchh aapas ki chheD-chhaaD mein hai
kahaan milaap mein vo baat jo bigaaD mein hai
na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari raah lag apni
tujhe aTkheliyaan sujhi hain ham be-zaar baiThe hain
kyaa hansi aati hai mujh ko hazrat-e-insaan par
fe'l-e-bad khud hi karein laa'nat karein shaitaan par
kamar baandhe hue chalne ko yaan sab yaar baiThe hain
bahut aage gae baaqi jo hain tayyaar baiThe hain
pahunchun main kis ki kohna haqiqat ko aaj tak
'inshaa' mujhe milaa nahin apnaa hi kuchh suraagh
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aaeinge sarkaar bandhe
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
khushi se apnaa ghar aabaad kar ke
bahut roeinge tum ko yaad kar ke