Shayari
mahfil un ki saaqi un kaa
aankhein apni baaqi un kaa
zindagi naam hai judaai kaa
aap aae to mujh ko yaad aayaa
زندگی نام ہے جدائی کا
آپ آئے تو مجھ کو یاد آیا
ज़िंदगी नाम है जुदाई का
आप आए तो मुझ को याद आया

mahfil un ki saaqi un kaa
aankhein apni baaqi un kaa
tufaan-e-gham ki tund havaaon ke baavajud
ik sham-e-aarzu hai jo ab tak bujhi nahin
ye soch kar bhi hans na sake ham shikasta-dil
yaaraan-e-gham-gusaar kaa dil TuuT jaaegaa
tu mire gham mein na hansti hui aankhon ko rulaa
main to mar mar ke bhi ji saktaa huun meraa kyaa hai
tiraa hijr meraa nasib hai tiraa gham hi meri hayaat hai
mujhe teri duuri kaa gham ho kyon tu kahin bhi ho mire paas hai
itnaa bhi naa-umid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahin ki shaam-e-alam ki sahar na ho
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein