Shayari
bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
تم سے ملے تو خود سے زیادہ
تم کو اکیلا پایا ہم نے
तुम से मिले तो ख़ुद से ज़ियादा
तुम को अकेला पाया हम ने

bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
us ki aankhein hain ki ik Dubne vaalaa insaan
dusre Dubne vaale ko pukaare jaise
khiraaj maang rahi hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hain
hoshiyaari dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein
tez itnaa hi agar chalnaa hai tanhaa jaao tum
baat puuri bhi na hogi aur ghar aa jaaegaa
kuchh to tanhaai ki raaton mein sahaaraa hotaa
tum na hote na sahi zikr tumhaaraa hotaa
kuchh to miltaa hai maza saa shab-e-tanhaai mein
par ye maalum nahin kis se ham-aaghosh huun main
tu ne vahdat ko kar diyaa kasrat
kabhi tanhaa nazar nahin aataa
tanhaai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuun hai
tere siine mein bhi ik daagh hai tanhaai kaa
jaantaa main to kabhi duur na hotaa tujh se