Shayari
arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
ai vatan jab bhi sar-e-dasht koi phuul khilaa
dekh kar tere shahidon ki nishaani royaa
اے وطن جب بھی سر دشت کوئی پھول کھلا
دیکھ کر تیرے شہیدوں کی نشانی رویا
ऐ वतन जब भी सर-ए-दश्त कोई फूल खिला
देख कर तेरे शहीदों की निशानी रोया

arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ik taaza bahaar
dekh kar main tiri tasvir puraani royaa
aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zabaan
ab doston se tark-e-mulaaqaat chaahiye
ik umr bhaTakte hue guzri hai junun mein
ab kaun fareb-e-nigah-e-yaar mein aae
'taahir' khudaa ki raah mein dushvaariyaan sahi
ishq-e-butaan mein kaun si aasaaniyaan rahin
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai
yahaan na peT hi is shaaeri se bhartaa hai
yahaan na qaum hi lauh-o-qalam se jaagti hai
chheDti hai mujhe aa aa ke miri aazaadi
go main qaidi huun mire paanv mein zanjir bhi hai
main bahut kamzor thaa is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiyaa
aazaadi ki dhumein hain shohre hain taraqqi ke
har gaam hai paspaai har vaza ghulaamaana
kyaa mol lag rahaa hai shahidon ke khuun kaa
marte the jin pe ham vo sazaa-yaab kyaa hue