Shayari
arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
تجھے بھی دیکھ لیا ہم نے او خدائے اجل
کہ تیرا زور چلا بھی تو اہل غم پہ چلا
तुझे भी देख लिया हम ने ओ ख़ुदा-ए-अजल
कि तेरा ज़ोर चला भी तो अहल-ए-ग़म पे चला

arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ik taaza bahaar
dekh kar main tiri tasvir puraani royaa
ai vatan jab bhi sar-e-dasht koi phuul khilaa
dekh kar tere shahidon ki nishaani royaa
aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zabaan
ab doston se tark-e-mulaaqaat chaahiye
ik umr bhaTakte hue guzri hai junun mein
ab kaun fareb-e-nigah-e-yaar mein aae
'taahir' khudaa ki raah mein dushvaariyaan sahi
ishq-e-butaan mein kaun si aasaaniyaan rahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ghar mein vahi piili tanhaai rahti hai
divaaron ke rang badalte rahte hain
roz hi piinaa roz pilaanaa roz ghamon se Takraanaa
ik din mai ko bhuul ke aao gangaa-jal ki baat karein
ik samundar ke havaale saare khat kartaa rahaa
vo hamaare saath apne gham ghalat kartaa rahaa