Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
kamaal-e-ishq to dekho vo aa gae lekin
vahi hai shauq vahi intizaar baaqi hai
کمال عشق تو دیکھو وہ آ گئے لیکن
وہی ہے شوق وہی انتظار باقی ہے
कमाल-ए-इश्क़ तो देखो वो आ गए लेकिन
वही है शौक़ वही इंतिज़ार बाक़ी है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
adaa-e-ishq huun puuri anaa ke saath huun main
khud apne saath huun yaani khudaa ke saath huun main
Dare huon ne tumhein bhi Daraa diyaa varna
khudaa to pyaar sikhaataa hai kuchh nahin kahtaa
jaan se baDh ke huaa karti hai 'izzat pyaare
sar diyaa jaataa hai dastaar bachaane ke liye