Shayari
asr ke vaqt mere paas na baiTh
mujh pe ik saanvli kaa saaya hai
adaa-e-ishq huun puuri anaa ke saath huun main
khud apne saath huun yaani khudaa ke saath huun main
ادائے عشق ہوں پوری انا کے ساتھ ہوں میں
خود اپنے ساتھ ہوں یعنی خدا کے ساتھ ہوں میں
अदा-ए-इश्क़ हूँ पूरी अना के साथ हूँ मैं
ख़ुद अपने साथ हूँ यानी ख़ुदा के साथ हूँ मैं

asr ke vaqt mere paas na baiTh
mujh pe ik saanvli kaa saaya hai
sukut-e-shaam kaa hissa tu mat banaa mujh ko
main rang huun so kisi mauj mein milaa mujh ko
main paanv dho ke piyun yaar ban ke jo aae
munaafiqon ko to main munh lagaane vaalaa nahin
kyaa hai jo mujhe hukm nahin maanne aate
divaana to hotaa hi baghaavat ke liye hai
Dare huon ne tumhein bhi Daraa diyaa varna
khudaa to pyaar sikhaataa hai kuchh nahin kahtaa
vaa'iz main koi chor huun jo tujh se dabungaa
munh toD ke rakh dungaa agar talkh huaa tu
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-gusaari pyaar hamdardi vafaa
ye dukaanein shahr ke baahar lagaa
mujhe pata hai mohabbat mein kyaa guzarti hai
so tujh se ishq nahin tujh se dosti karungaa
sila diyaa hai mohabbat kaa tum ne ye kaisaa
masarraton mein bhi rone lagi hain ab aankhein
thaa jis pe naaz kabhi ab vo aarzu na rahi
niyaaz-e-'ishq ki pahli si aabru na rahi