Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
ulTi ik haath se naqaab un ki
ek se apne dil ko thaam liyaa
الٹی اک ہاتھ سے نقاب ان کی
ایک سے اپنے دل کو تھام لیا
उल्टी इक हाथ से नक़ाब उन की
एक से अपने दिल को थाम लिया

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ghar mein saamaan to ho dilchaspi kaa
haadsa koi uThaa le jaaun
liyaa main bosa ba-zor us sipaahi-zaade kaa
azizo ab bhi miri kuchh dilaavari dekhi
kyaa kahein kyaa kyaa kiyaa teri nigaahon ne suluk
dil mein aaiin dil mein Thahrin dil mein paikaan ho gaiin
samjhaaein kis tarah dil-e-naa-kardaa-kaar ko
ye dosti samajhtaa hai dushman ke pyaar ko