Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
uTh ai naqaab-e-yaar ki baiThe hain der se
kitne gharib dida-e-pur-nam liye hue
اٹھ اے نقاب یار کہ بیٹھے ہیں دیر سے
کتنے غریب دیدۂ پر نم لیے ہوئے
उठ ऐ नक़ाब-ए-यार कि बैठे हैं देर से
कितने ग़रीब दीदा-ए-पुर-नम लिए हुए

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
doston main koi khudaa to na thaa
tum ne phir kyuun bhulaa diyaa mujh ko
pattaa pattaa shaakh se TuuTe darvaazon pe vahshat si
yaaro prem kathaa mein kis ne dard ki taan milaai hai
TuuTi hai ye kashti to mire saath safar ko
vo jaan-e-masaafat miraa tayyaar huaa hai