Shayari
zahr zindagaani kaa pi ke aql aai hai
daaru-e-gham-e-hasti talkhi-e-subu mein hai
J
Jami RudaulvibhiiD mein zamaane ki ham sadaa akele the
vo bhi duur hai kitnaa jo rag-e-gulu mein hai
بھیڑ میں زمانے کی ہم سدا اکیلے تھے
وہ بھی دور ہے کتنا جو رگ گلو میں ہے
भीड़ में ज़माने की हम सदा अकेले थे
वो भी दूर है कितना जो रग-ए-गुलू में है
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu ne vahdat ko kar diyaa kasrat
kabhi tanhaa nazar nahin aataa
duniyaa se jaane vaalon ko raste mein gham nahin
sidhi saDak hai pher ki raah-e-adam nahin
is hi buniyaad par kyuun na mil jaaein ham
aap tanhaa bahut ham akele bahut