Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
apne sabhi gile bajaa par hai yahi ki dilrubaa
meraa tiraa moaamla ishq ke bas kaa thaa nahin
اپنے سبھی گلے بجا پر ہے یہی کہ دل ربا
میرا ترا معاملہ عشق کے بس کا تھا نہیں
apne sabhī gile bajā par hai yahī ki dilrubā
merā tirā mo.āmla ishq ke bas kā thā nahīñ

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
talaash-e-surat-e-taskin na kar auhaam-hasati mein
dil-e-mahzun bahal saktaa nahin is naqsh-e-baatil se
us ki hi mohabbat mein gire dost ki jis se
ham baat talak karne ko tayyaar nahin the
kah rahe hain vo banaa kar zulf ko
mujrimaan-e-ishq ki zanjir dekh
tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti
khud ko itni bhi aziyyat nahin di jaa sakti