Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ishrat-e-haal-e-nau mubaarak ho
aap ko saal-e-nau mubaarak ho
عشرت حال نو مبارک ہو
آپ کو سال نو مبارک ہو
ishrat-e-hāl-e-nau mubārak ho
aap ko sāl-e-nau mubārak ho

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ghiraa huaa huun janam-din se is taaaqub mein
zamin aage hai aur aasmaan mire pichhe
baanT Daale aise ham ne dil ke TukDe kaaT kar
janm din pe baanTte hain cake jaise kaaT kar
baar-e-khaatir hi agar hai to inaayat kiije
aap ko husn mubaarak ho miraa dil mujh ko
sair-e-gulzaar mubaarak ho sabaa ko ham to
ek parvaaz na ki thi ki giraftaar hue
aaj yaaron ko mubaarak ho ki subh-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
chaand bannaa tumhein mubaarak ho
ghar hamaaraa karoge kab raushan