Shayari
agar sukun se umr-e-aziz khonaa ho
kisi ki chaah mein khud ko tabaah kar liije
haath phir baDh rahaa hai su-e-jaam
zindagi ki udaasiyon ko salaam
ہاتھ پھر بڑھ رہا ہے سوئے جام
زندگی کی اداسیوں کو سلام
हाथ फिर बढ़ रहा है सू-ए-जाम
ज़िंदगी की उदासियों को सलाम

agar sukun se umr-e-aziz khonaa ho
kisi ki chaah mein khud ko tabaah kar liije
ab to aa jaao rasm-e-duniyaa ki
main ne divaar bhi giraa di hai
haae vo log ham se ruuTh gae
jin ko chaahaa thaa zindagi ki tarah
phir kai zakhm-e-dil mahak uTThe
phir kisi bevafaa ki yaad aai
vahi be-vajh udaasi vahi be-naam khalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se ji Dartaa hai
din ke siine mein dhaDakte hue lamhon ki qasam
shab ki raftaar-e-subuk-gaam se ji Dartaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
qatil apnaa muqaddar gham se begaana agar hotaa
to phir apne paraae ham se pahchaane kahaan jaate
aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbaab se gham-khvaar huaa bhi nahin jaataa
roz-e-jazaa gila to kyaa shukr-e-sitam hi ban paDaa
haae ki dil ke dard ne dard ko dil banaa diyaa