Shayari
mujh ko baDe khulus se barbaad kar diyaa
'jaazib' kisi ne ek havas-kaar ke liye
pyaar ki khud-farebiyaan tauba
miTte miTte bhi aas rahti hai
پیار کی خود فریبیاں توبہ
مٹتے مٹتے بھی آس رہتی ہے
प्यार की ख़ुद-फ़रेबियाँ तौबा
मिटते मिटते भी आस रहती है

mujh ko baDe khulus se barbaad kar diyaa
'jaazib' kisi ne ek havas-kaar ke liye
teri khushbu pyaar ke lahje mein bole to sahi
dil ki har dhaDkan ko ik chehra nayaa mil jaaegaa
mire vajud ke khushbu-nigaar sahraa mein
vo mil gae hain to mil kar bichhaD bhi sakte hain
daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho
us shakhs ke taaza lab-o-rukhsaar to dekho
kuchh mere dhaDakte hue dil ne bhi pukaaraa
kuchh aap ko baazaar mein dhokaa bhi huaa hai
kyuun maang rahe ho kisi baarish ki duaaein
tum apne shikasta dar-o-divaar to dekho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ke kaarobaar ko aksar
garmi-e-kaarobaar le Duubi
mohabbat to ham ne bhi ki aur bahut ki
magar husn ko ishq karnaa na aayaa
ji churaane ki nahin shart dil-e-zaar yahaan
ranj uThaane hi ki Thahri hai to phir dil se uThaa
ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain