Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq ke kaarobaar ko aksar
garmi-e-kaarobaar le Duubi
عشق کے کاروبار کو اکثر
گرمیٔ کاروبار لے ڈوبی
इश्क़ के कारोबार को अक्सर
गर्मी-ए-कारोबार ले डूबी

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ham pe guzraa hai vo bhi vaqt 'khumaar'
jab shanaasaa bhi ajnabi se mile
na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai
ye kahaan pahunch gae hain tiri bazm se nikal ke
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
phuul kar le nibaah kaanTon se
aadmi hi na aadmi se mile
dushmanon se pashemaan honaa paDaa hai
doston kaa khulus aazmaane ke baad
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
uTThi hai jab se dil mein mire ishq ki tarang
shaadi o gham hain aage mire donon ek rang
do aalam se guzar ke bhi dil-e-aashiq hai aavaara
abhi tak ye musaafir apni manzil par nahin aayaa
yuun bhi milaa hai husn kaa andaaz ishq mein
bikhri hai un ki zulf pareshaan huaa huun main
kyaa zaruri hai ye iqraar ki muhtaaj rahe
ham mohabbat ko yuun laachaar karein bhi ki nahin