Shayari
jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
bhalaai ye ki aazaadi se ulfat tum bhi rakhte ho
buraai ye ki aazaadi se ulfat ham bhi rakhte hain
بھلائی یہ کہ آزادی سے الفت تم بھی رکھتے ہو
برائی یہ کہ آزادی سے الفت ہم بھی رکھتے ہیں
भलाई ये कि आज़ादी से उल्फ़त तुम भी रखते हो
बुराई ये कि आज़ादी से उल्फ़त हम भी रखते हैं

jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
taalib-e-khair na honge kabhi insaan se ham
naam us kaa hai bashar us mein hai shar do-baTaa-tin
yaa rahein is mein apne ghar ki tarah
yaa mire dil mein aap ghar na karein
aane vaali hai kyaa balaa sar par
aaj phir dil mein dard hai kam kam
pi loge to ai shaikh zaraa garm rahoge
ThanDaa hi na kar dein kahin jannat ki havaaein
vatan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat ham bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein vo hasrat ham bhi rakhte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko