Shayari
ham ne iraada tark-e-tamannaa kaa jab kiyaa
teraa khayaal ai dil-e-naakaam aa gayaa
K
Kaifi Bilgramihar qadam par rah-e-mohabbat mein
zindagi kaa savaal aataa hai
ہر قدم پر رہ محبت میں
زندگی کا سوال آتا ہے
हर क़दम पर रह-ए-मोहब्बत में
ज़िंदगी का सवाल आता है
ham ne iraada tark-e-tamannaa kaa jab kiyaa
teraa khayaal ai dil-e-naakaam aa gayaa
ik ik qadam pe rakkhi hai yuun zindagi ki laaj
gham kaa bhi ehtiraam kiyaa hai khushi ke saath
mujhe chaak-e-garebaan par hansi aai to hai lekin
mire hansne pe un ki aankh bhari aai to kyaa hogaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko