Shayari
main shuaa-e-zaat ke siine mein gunjaa huun kabhi
aur 'karaamat' main kabhi lamhon ke khvaabon mein rahaa
gham-e-hasti bhalaa kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho
غم ہستی بھلا کب معتبر ہو
محبت میں نہ جب تک آنکھ تر ہو
ग़म-ए-हस्ती भला कब मो'तबर हो
मोहब्बत में न जब तक आँख तर हो

main shuaa-e-zaat ke siine mein gunjaa huun kabhi
aur 'karaamat' main kabhi lamhon ke khvaabon mein rahaa
achchhaa hai yaa kharaab nahin is se vaasta
phuTaa huaa ye meraa muqaddar mujhe aziiz
manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se ham
koi zamin hai to koi aasmaan hai
har shakhs apni zaat mein ik daastaan hai
hamesha aag ke dariyaa mein ishq kyuun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azaab honaa thaa
ye apne hi kirdaar kaa hai natija
jo rab ki taraf se ye ham par ghazab hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham ahl-e-dil ne meayaar-e-mohabbat bhi badal Daale
jo gham har fard kaa gham hai usi ko gham samajhte hain
pi to luun aankhon mein umDe hue aansu lekin
dil pe qaabu bhi to ho zabt kaa yaaraa bhi to ho
daaman jhaTak ke vaadi-e-gham se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhti rahi gard-e-safar mujhe