Shayari
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyuun mujrim-e-vafaa se hain ye bad-gumaaniyaan
kyuun Dar rahe hain purshish-e-roz-e-jazaa se aap
کیوں مجرم وفا سے ہیں یہ بدگمانیاں
کیوں ڈر رہے ہیں پرسش روز جزا سے آپ
क्यूँ मुजरिम-ए-वफ़ा से हैं ये बद-गुमानियाँ
क्यूँ डर रहे हैं पुर्सिश-ए-रोज़-ए-जज़ा से आप
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa