Shayari
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
khud se likhne kaa ikhtiyaar bhi de
varna qismat ki takhtiyaan le jaa
خود سے لکھنے کا اختیار بھی دے
ورنہ قسمت کی تختیاں لے جا
ख़ुद से लिखने का इख़्तियार भी दे
वर्ना क़िस्मत की तख़्तियाँ ले जा

ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
uTh ai naqaab-e-yaar ki baiThe hain der se
kitne gharib dida-e-pur-nam liye hue
aayaa na phir ke ek bhi kuche se yaar ke
qaasid gayaa nasim gai naama-bar gayaa
donon zaalim hain farq itnaa hai
aasmaan piir hai javaan tu hai