Shayari
main kahun aap tumhein aap kahein tum mujh ko
tum jataate nahin kis roz tahakkum mujh ko
K
Kishan Kumaar Waqaarek jhuTe ke vasf-e-dandaan mein
sachche moti sadaa pirotaa huun
ایک جھوٹے کے وصف دنداں میں
سچے موتی سدا پروتا ہوں
एक झूटे के वस्फ़-ए-दंदाँ में
सच्चे मोती सदा पिरोता हूँ
main kahun aap tumhein aap kahein tum mujh ko
tum jataate nahin kis roz tahakkum mujh ko
na toDo dil ki hai kaaba kaa Dhaanaa
ye do ghar hain magar buniyaad hai ek
bosa dahan kaa us ke na paaeinge apne lab
daaghi hai main ne nok zabaan-e-savaal ki
gar husn-e-gandumi tiraa un ko na thaa pasand
aadam ne chhoDaa kis liye baagh-e-bahisht ko
din lage hain ye raat ko meri
chashm-e-aahu charaagh-e-sahraa hai
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
talkhiyaan is mein bahut kuchh hain mazaa kuchh bhi nahin
zindagi dard-e-mohabbat ke sivaa kuchh bhi nahin