Shayari
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
K
Kishan Kumaar Waqaarna toDo dil ki hai kaaba kaa Dhaanaa
ye do ghar hain magar buniyaad hai ek
نہ توڑو دل کہ ہے کعبہ کا ڈھانا
یہ دو گھر ہیں مگر بنیاد ہے ایک
न तोड़ो दिल कि है का'बा का ढाना
ये दो घर हैं मगर बुनियाद है एक
aatishin husn kyuun dikhaate ho
dil hai aashiq kaa koh-e-tur nahin
ukhDi baaton se us ki saabit hai
kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uThaa
tumhaare ishq-e-abru mein hilaal-e-id ki surat
hazaaron ungliyaan uTThin jidhar se ho ke ham nikle
ashk-e-hasrat hai aaj tufaan-khez
kashti-e-chashm ki tabaahi hai
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
pukaaraa jab mujhe tanhaai ne to yaad aayaa
ki apne saath bahut mukhtasar rahaa huun main
soi hui taDap ko phir se jagaa rahaa hai
kahtaa to kuchh nahin hai bas yaad aa rahaa hai
dekh main yaad kar rahi huun tujhe
phir main ye bhi na kar sakun aa jaa
rah rah ke kaundti hain andhere mein bijliyaan
tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum
ik baar aur meri ayaadat ko aaiye
achchhi tarah se main abhi achchhaa huaa nahin