Shayari
usi ki tarah mujhe saaraa zamaanaa chaahe
vo miraa hone se zyaada mujhe paanaa chaahe
chaaron taraf bikhar gaiin saanson ki khushbuein
raah-e-vafaa mein aap jahaan bhi jidhar gae
چاروں طرف بکھر گئیں سانسوں کی خوشبوئیں
راہ وفا میں آپ جہاں بھی جدھر گئے
चारों तरफ़ बिखर गईं साँसों की ख़ुशबुएँ
राह-ए-वफ़ा में आप जहाँ भी जिधर गए

usi ki tarah mujhe saaraa zamaanaa chaahe
vo miraa hone se zyaada mujhe paanaa chaahe
jism chaadar saa bichh gayaa hogaa
ruuh silvaT haTaa rahi hogi
apne hi aap se is tarah hue hain rukhsat
saans ko chhoD diyaa jis samt bhi jaanaa chaahe
dil ke tamaam zakhm tiri haan se bhar gae
jitne kaThin the raaste vo sab guzar gae
koi divaana kahtaa hai koi paagal samajhtaa hai
magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhtaa hai
jab se milaa hai saath mujhe aap kaa huzur
sab khvaab zindagi ke hamaare sanvar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
din ki aankhein band hui hain
aankhon mein hai raat khabar lo