Shayari
main dauD dauD ke khud ko pakaD ke laataa huun
tumhaare ishq ne bachchaa banaa diyaa hai mujhe
meri jaanib na baDhnaa ab mohabbat
main ab pahle se mushkil raastaa huun
میری جانب نہ بڑھنا اب محبت
میں اب پہلے سے مشکل راستا ہوں
मेरी जानिब न बढ़ना अब मोहब्बत
मैं अब पहले से मुश्किल रास्ता हूँ

main dauD dauD ke khud ko pakaD ke laataa huun
tumhaare ishq ne bachchaa banaa diyaa hai mujhe
main bahut jald lauT aaungaa
tum miraa intizaar mat karnaa
mire qabile mein taalim kaa rivaaj na thaa
mire buzurg magar takhtiyaan banaate the
jahaan jo thaa vahin rahnaa thaa us ko
magar ye log hijrat kar rahe hain
vajud apnaa hai aur aap tai kareinge ham
kahaan pe honaa hai ham ko kahaan nahin honaa
ishq tu ne baDaa nuqsaan kiyaa hai meraa
main to us shakhs se nafrat bhi nahin kar saktaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
apne sabhi gile bajaa par hai yahi ki dilrubaa
meraa tiraa moaamla ishq ke bas kaa thaa nahin
jab milaa husn bhi harjaai to us bazm se ham
ishq-e-aavaara ko betaab uThaa kar le aae
ishq maashuq ishq aashiq hai
yaani apnaa hi mubtalaa hai ishq
ishq mein ji ko sabr o taab kahaan
us se aankhein laDin to khvaab kahaan