Shayari
chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
zakhm bigDe to badan kaaT ke pheink
varna kaanTaa bhi mohabbat se nikaal
زخم بگڑے تو بدن کاٹ کے پھینک
ورنہ کانٹا بھی محبت سے نکال
ज़ख़्म बिगड़े तो बदन काट के फेंक
वर्ना काँटा भी मोहब्बत से निकाल

chaahi thi dil ne tujh se vafaa kam bahut hi kam
shaayad isi liye hai gilaa kam bahut hi kam
tumhaare vaaste sab kuchh hai mere banda-navaaz
magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe
ye kyaa kahun ki mujh ko kuchh gunaah bhi aziiz hain
ye kyuun kahun ki zindagi savaab ke liye nahin
ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke sivaa
bahut haqir hain ham tum baDi hai ye duniyaa
ye dil-navaaz udaasi bhari bhari palkein
are in aankhon mein kyaa hai suno dikhaao mujhe
haae phir fasl-e-bahaar aai 'khizaan'
kabhi marnaa kabhi jiinaa hai muhaal
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki
to phir saae se apne pyaar karnaa chaahiye thaa
ik shajar aisaa mohabbat kaa lagaayaa jaae
jis kaa ham-saae ke aangan mein bhi saayaa jaae
kuchh to hote hain mohabbat mein junun ke aasaar
aur kuchh log bhi divaana banaa dete hain